'Thread Deleted' notification

Re: ‘Thread Deleted’ notification

mujhay apnay inbox ki weeranee bohat azez hai …

or is terah kay Pms mere inbox kay mizaaj pey bohat giraan hai

apnay auto system ko batla dejeye us ki yeh sherangaizian us ki zindgee k din kam na ker dain

snooty

Re: ‘Thread Deleted’ notification

Kaisa ajeeb sa lag raha hoga na kay uss veeranay main kiss ka prem-patar aagaya…
aap nay uss say poocha nahi kay abay O gustaakh khat, tumhain yahan ka pata kiss nay bataya ?

Khud uss message ko bhi ajeeb sa lag raha hoga kay yar kahan aagay main :s

Waisay aisi news daitay howay aap aik… dohree kamar wali, haath main lathi, baray say kalay motay chashmay par moonh laga howa, sar par sufaid uljhay howay balaon ka tokra … kamar par paan ki potli bandhi howi, hath main peek daan, pairon main akka-bowa wali plastic ki gulabi chappal… neela garara aur chicken ka sufaid burraq kurta zaib tann kiay howay … admins ko kosti howi lag rahi hain…

Re: ‘Thread Deleted’ notification

:cb: let us carry on where we left … ;–)