The Urdu Rhyming thread of 2007 *snoota*

Re: The Urdu Rhyming thread of 2007 snoota

phir youN huaa kaY khatam huaY saaraY qaafiyoN kee paheliyaaN
kuch naraaz theeN aur kuch rooTH gayee haiN SaheliyaaN
chahataY hum bhee haiN kaY khatam ho yeh Lun-TaraaniyaaN
so, abb shuru hotaa hai ik nayaa andaaz-e-bayaaN


tau kiss ko chaahiye ik addad surmaa daani
mujh ko inayat famaaiye zara saabun daani
kiouN aap kee ho gayee hai itni mukhtasir samajh daani
khaaiye baadaam tau door ho gee pashemaani