Re: The glory of Sindh
is pe to maiN bhii ‘ThaThhaa’ maar ke haNs saktaa huN…kal kii baat hai news meN Moenjodaro kaa zikr-e-Khair huaa thaa.
Sukker Airport ke runway kii lights kaam nahiiN kar rahii thiiN lihaaza 7 ghanTe ke intizaar ke ba’d PIA kii flight PK-640 [jo Karachi se Sukker jaa rahii thii aur jise Moenjodaro airport par utaar liyaa gayaa thaa] vaapas Karachi ravaana huii…
…baar baar us jahaaz aur airport kii tasveereN live dikhaayaa jaa rahaa thaa.
maiN ne to free meN Moenjodaro airport kii sair kar li. ![]()