Dua ki surat mein us ki khaatir
Jo mere hontoon se lafz niklay
Jo meri aankhoon se ashk niklay
Unhi ke badlay mein ay Khudaya
Jab bhi us ka naseeb likhna
Urooj likhna, kamaal likhna
Kabhi na harf-e-zawaal likhna
Aur us ki umar-e-daraaz likhna …*
Aae khuda karde us shaks ke hawale mujhko,
Ke apne seene se wo ek baar laga le mujhko,
Bikhar gai hun mein toot kar tukroon mein,
De usse taufeeq ke aake sambhale mujhko,
Ya tu uska saath aata kar mujhko umr bhar ke liye,
Ya tu chup chap apne paas bula le mujhko