heyy aaliyah !
kitheeyyy ? … meinay na eik naya suit liya hai… pata hai 35$ per gazz haii… bohot pyaar hai… meinay usske saath ki shalwar bhi li hai.. aur duppata tho meinay saal pehle hi le liya thaa…
LOL
meinay kal woh hiba hai na hiba.. usski shaadi per jaana hai.. wahan woh dayn bhi ayi hogi javeda lol … usska aur mera hamesha competition rehta hai kapron ka… kal tho woh poori ki poori jal jayegi…
aaliyah tum na.. tum bhi bohot ache kapre pehenana… tum dekhna… sannan tumhe hi dekh ta rahega… loll… aur haan… tumne woh jo nayi jooti li thi na.. jo toot gayi thi.. aur tumne mochi se sahy karwayi thi.. woh mujhe dedena.. mere suit ke saath achi lage gi 