Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Re: Sureeli Ghazlen aur Nazmen

Wo aa to jaye magar intezaar hi kam hai
Wo bewafa to nahi mera pyar hi kam hai

Main kese maan lu.n uspe koi asar hi na ho
Ke dil tadapta rahe aur use khabar hi na ho
Yeh dil khuda ki kasam bekarar hi kam hai

Zamana kehta hai wo mera saath **** gaya
Wo mujhko bhool gaya mere dil ko tod gaya
Main kya karon ke mujhe etbaar hi kam hai

Kami rahi hai mere pyar mein kahi.n na kahi.n
Ke aasuo.n mei.n abhi khune dil ka rang hi nahi
Abhi to aankh meri ashq paar hi kam hai

By Nisar Bazmi???