Suggest a shair for the pic - 2

Re: Suggest a shair for the pic - 2

saanu nehr wle pull te bula ke

Re: Suggest a shair for the pic - 2

not just a shair, complete poem...

ik shaam kahin abaad to ho
us jheel kinaray pal do pal
ik khwaab ka neela phool khilay
wo phool baha dain lehron main
ik roz kabhi hum shaam dhalay
us phool kay behtay rangon main
jis waqt lazarta chand chalay
us waqt kahin un aankhon main
is bisray pal ki yaad to ho
un jheel si gehri aankhon main...
ik shaam kahin abaad to ho

phir chahay umr samandar ki
har maoj pareshaan ho jaye
phir chahay aankh dareechay say
har khwaab guraizaan ho jaye
phir chahay phool kay chehray ka
har dard numayaa ho jaye

us jheel kinarey pal do pal
wo roop nagar eejaad to ho
din raat kay is aainay say
wo aks kabhi azad to ho
un Jheel si gehri aankhon main...

Re: Suggest a shair for the pic - 2

***Yun Hi Intezaar Karta Raha Aur Waqt Dhalta Raha
Mere Intezaar Ka Soraj Har Lamha Pigalta Raha


Re: Suggest a shair for the pic - 2

can’t quote a shair for it.. but a song… :slight_smile:
[YT]yReE8e–v2c[/YT]