Re: Stone age…
aap sirf pahiyaa eejaad karnaa… yeh gaajar kaa halwaa aap kaY buss kaa Rog naheeN ![]()
Re: Stone age…
aap sirf pahiyaa eejaad karnaa… yeh gaajar kaa halwaa aap kaY buss kaa Rog naheeN ![]()
Re: Stone age…
abhi bohot si options zair-e-ghor hain..
kia pata tikon ho jae ![]()
Re: Stone age…
uss saY pehlaY yeh gaaRi uThaaye uThaaye phiraiN gee ![]()
Re: Stone age…
multi tasking bhi to koi cheez hai ![]()
Acha yaani gajar ka halwa aap ne aijaad karna hai…
haandi choolha kon aijaaday ga?
Re: Stone age…
tikon naa banaanaa… phir ahraam-e-mis’r kee afaadiyat khatam ho jaaYe gee.. ![]()
Re: Stone age…
Oye yeh Dinosaur kay tikkay ka program chal raha hay idhar ![]()
Mujhay dumm ki boti day dainaa - papeeta laga kay ![]()
Re: Stone age…
![]()
to aur kia!!!
Phir tum log fakhar karo ge ke kabhi kisi sadaf se paala para tha… ![]()
Re: Stone age…
haaNdi choolhaY kee eejaad baa’d kaa marhalaa hai… abhi sirf ghareeb lakaR haaraa jungle saY lakRiyaaN kaaT kar laaye gaa… err… lakaR haaraa kaun bannaY gaa? Ume ko banaa detaY haiN ![]()
Re: Stone age…
us ke gosht pe papeeta nahin papeetay ka poora darakht balke baagh lagana paray ga ![]()
Re: Stone age…
uncle stalker kis marz ki dawa hain? ![]()
awaien, baithay baithay motay ho rahay hain..
![]()
waisay bhi aisay kaam larkion ko zaib nahin detay ![]()
Re: Stone age…
duum saY raghbat kee koi khaas wajah? Is it that hazaaraoN khuaahishaiN aissii kaY har Khuaahish pe DUMM niklaY??
Re: Stone age…
abaY yaar pathar kaY zamaanaY kee aurat bhee pathar kee tarah ho gee naa ![]()
Re: Stone age…
hai to aurat hi na ![]()
idher kharay kharay koi maqadama bana doon gi .. challo shaabash yeh lohay ka kanastar utha ke wooooooh door pahaR pe rakh aao
Re: Stone age…
aewieN rakh aaouN
pathar kaY zamaanaY maiN sirf pathar kaY kanastar hotaY thaY ![]()
Re: Stone age…
Sadaf aunty apna chashmaa doo
aag sulgani hay - filhaal maachiss ki eejaad main 20000 saal baqi hain
![]()
Re: Stone age…
kaam chor na ho to ![]()
Re: Stone age…
sadaf chashmaa lagaati haiN yaa Mohaddib adsaa:D
abhi Arshmeedus kee paidaaish maiN bhee nargis hazaaroN saal roye gee ![]()
Re: Stone age…
yeh tu laFraaaa ho jaiey ga mamoooo ![]()
main kachhaa goosht nahi khaa sakta ![]()
Re: Stone age…
yeh chuqmaaq ka pathar lay lain…
idher hi kahin rakha tha …
dhoondti hoon ![]()
Re: Stone age…
abaY yaar… dau pathar uThaa kar aik doosraY saY ragaR denaa naa ![]()