Ibtedaa hai Rabb-e-Jaleel kaY baa barkat naam saY
Jo diloN kaY bhed behtar jaantaa hai…
Dukhti AaNkhoN
aur
BehtaY kaanoN ko Tariq Aziz kaa salaam pohNchaY ![]()
MeraY bhaaiyoN, arastoo naY kahaa thaa yaa ghaaliban Ibn-e-Batoota kaa maqoolaa hai kaY yeh duniya aik stage hai..![]()
maaff kijiye yeh tau shaayad Maulana Shaikh Pir saahab kaa qol hai…
behr Haal.. meraY aziz hamwatnoN, Tariq Aziz kaY stage par stall khultaa hai Seh’r Watches banaanaY waaloN kaa jinn kaa kehnaa hai kaY aik sawaaL kaa jawaab dijiye aur Rehbar water cooler ghar laY jaaiye… khud bhee thandaa thandaa paani pijiye aur ghar waaloN ko bhee pilaaiyee…
PooraY mohallaY kaY liye kaar aamaad ![]()