Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
ek pal men ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye
bhuule hain unhen raftaa raftaa mudatton men ham
qishton men Khud kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
ek pal men ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye
do din kii zindagii kaa mazaa ham se puuchhiye
bhuule hain unhen raftaa raftaa mudatton men ham
qishton men Khud kushii kaa mazaa ham se puuchhiye
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*saroo zabardast.
*
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
**Wu jaan he gayee kay humay unsay piyar hay
nazroon ki serkashi ka mazza humsay poochiyee
Aaaghaz-e-aashiquee ka nasha aap janiyee
anjaam-e-aashiquee ka mazza humsay poochiyee
It is one of my most favourite ghazal saroo, thanx for sharing!
**
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Zabardast barbi, very nice…
bohot ala shaairi share kar rahay hain sub log
Saroo, PK, Fara, GS & BG
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Baywafaa Raastay Badaltay Hain
Humsafar Saath Saath Chaltay Hain
Kis Kay Aanso Chupay Hain Pholoo'n Main
Choomta Hoon To Hont Jaltay Hain
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
My heart goes out to this one ![]()
hmm, yahan tu sub kuch he jala chukay hain, kia hont kia dil!!!
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*Najanay kub bicher jayega mujhsay
Wu meri zindagi hutay huway bhee...
*
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
**Dil Main kissi ki rah ki'ay ja raha hoon main
Kitna hasee'n gunah ki'ay ja raha hoon main
Gulshan Parsast hoon mujhay gul hee naheen aziz
Kaantoo'n say bhi nibah ki'ay ja raha hoon main **
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Yeh roshni bhee ataa hay teri muhabbat ki ...
Ju meri rooh kay manzar mujhay dikhati hay!
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*dil ke zaKhmon pe mere pyaar kaa maraham rakh do *
*beqaraarii men mujhe kuchh to qaraar aa jaaye *
*yuun Khudaa ke liye chhiino na mere hosh o havaas *
*aisii nazaron se na dekho ki Khumaar aa jaaye *
*dil to kahataa hai ki aankhon men chhupaa luun tujh ko *
*Dar yahii hai ki muqaddar ko na inkaar aa jaaye *
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
aakhri line samagh ni ayee na!
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
…
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Buhat achchay saro bhai ![]()
Hum to hain hee ujrray hovay shaher ki misaal
Aankhain bata raheen kah veeraa’n tum bhi ho
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Bichar k us say udaas hoon buhat main bhi
Sunna hay wo bhi barri uljhanoon main rahta hay
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*meri wu baatein tu jin pay hasta tha bay-ikhtiyar khilkhila kay
bichernay walay meri wu baatein agar rulayeein tu loat aana
*
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*zindagii jabr e musalasal kii tarah katatii hai *
jaane kis jurm kii paai hai sazaa yaad nahin
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
**Wu tera saath ek gheri bhar ka
Kyun satata hay aadatoonN ki terhaanN
Wu bichera tu mainay jana
Main tanha jee sakta hay
Meri aarzoo main jiyee ga wuh
Mujhay kub tha aisa guman bhee
**
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
kum nahin hai tera aa jana qiamat say magar
ik qiamat aur ati hai teray janay kay baad
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
Apnay haathon ki lakeeron main basa lay mujh ko
Mian teraa hoon, tu naseeb apna bana lay mujh ko
Re: ~Share Your Favourite Ashaar~
*Kitnaa qareeb hum say Rukh e Mahtaab thaa
Jis ko samajh rahay thay haqiqat woh khwaab thaa
Gohar woh chahtoo'n ki dhunai'n phir bhi na sun sakay
Tootay hovaay thay taar..Shikasta rabaab thaa
*