~Share Your Favourite Ashaar~

Re: ~Share Your Favourite Ashaar~

*Zubaa'n pay mohar lagana to koi baat naheen
Badal sako to badal do mairay khayaloo'n ko *

Re: ~Share Your Favourite Ashaar~

^^ nice one P^K

Rakhtay hain jo orron k liye piyaar ka jazba
Wo log kabhi toot ker bikhra nahi kartay

Re: ~Share Your Favourite Ashaar~

Some I like:

Chehray badal badal k mujh say mil rahayn hain log
Aisa bura sulook meri saadgi k sath


Muqqayyad kar diya yeh keh k saNpon ko sapeyroN ne
Yeh insanoN ko insanoN say dasvanay ka mausam hai


Daykhay merey gunaah to farishtey bhi keh uthay
Kab tak karen hisaab, bari dayr ho chuki


Har ek say beygana ban rahay hain, Kisi ki janib nazar nahi hai
Khabar woh rakhtay hain is tarah say, kay jaisay koi khabar nahi hai


Hona to wahi hai jo muqqadar may likha hai
Lekin woh merey khuab, merey khuab, merey khuab....

Re: ~Share Your Favourite Ashaar~

wow X_C really nice...