Share Ashaar Of Ahmed Faraz

**
Sukhan Dard Ka Ab Saha Jaye Na
Saha Jaye Bhi Tau Suna Jaye Na
Hawaon Mein Kya Zehar Ghola Gaya
Keh Ab Saans Bhi Tau Liya Jaye Na
Woh Kya Dost They Ab Jo Dushman Huwe
Magar Naam Unnka Liya Jaye Na
Main Jis Shehar Ke Geet Gata Raha
Ab Uss Shehar Mein Kyun Raha Jaye Na
Aji Kutb Ho, Ho Keh Ahmed Faraz
Keh Aaj Baad Sach Woh, Jiya Jaye Na
Sukhan Dard Ka Ab Saha Jaye Na..**