~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

beautiful :k:

Re: ~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

**Udas logon se pyar karna koii to seekhay
Sufaid lamhoN may rang bharna koii to seekhay

koii to aay Kezaan main pat'ay o'ganay wala
Golon ki khushbo ko qaid koii to seekhay

koii dekhay mohabaton ke saraab mujh ko
merii nigahon se baat karna koii to seekhay

koii to aay naii roton ka payaam lay kar
And'hairii raton main chand banna koiii to seekhay


Re: ~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

thanx barbie.

Re: ~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

ye dil udaas hai buhat koi peghaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do

meri qismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umar na likho magar ek shaam hi likh do

ye janti hoon k umar bhar tanha mujh ko rehna hai
magar pal do pal, ghari do ghari mere naam hi likh do

chalo hum maan letay hain saza k mustahiq tehray
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do

ye dil udaas hai buhat koi peghaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do

Re: ~~:( :frowning: ~~ Share Asha’ar on Uddas :club_suit::club_suit:

Seeratain Bayqiyas Hoti hain, Suratain Ghum Shanas Hoti hain
Jinn kay hontoon par muskarahat :slight_smile: ho unn key Aankhain Udaas hoti hain :teary3:

Re: ~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

Shaam udas hai, Raat bhi udas hogi. Subah kafa mein lipti meri laash hogi. Ae mujhe dafnanewale jaakar unse keh dena, Kabra par bhi unki tasvir mere saath hogi

Re: ~~:( :frowning: ~~ Share Asha’ar on Uddas :club_suit::club_suit:

vow its cool saira :lajawab:

Udaasi Tu Sirf Mayray Dil Ke The Makeen
Phir Sara Mahool Hum Ko Baychain Kyon Laga

Re: ~~:( :( ~~ Share Asha’ar on Uddas ~~♣♣~~

fursat mile to hamain bhi yad ker lia karo kabhi
barri pur ronq hoti hain yadain hum UDAAS logon ki...

udas mosam k rat jagon me
har aik lamha bikhar gia hy
har aik rasta badal gia hy
phir aise mosam me kon aye
koi to jaye
tre nagar ki musafaton ko samet laye
tri gali me hamari yaaden bikher aye
tujhe bataye k kon kaise
uchalta hy wafa k moti
tumhari janib
koi to jaye.....mri zaban me tujhe bulaye
tujhe manaye
hamari halat tujhe bataye.....tujhe rulaye
to apne dil ko bhi chain aaye