Re: Shak
kiuN nahiiN? kia mardoN ke surKhaab ke par lage hote haiN? kia roz suntii nahiiN ho k falaaN mard ne falaaN mard ko yaa apni biwi/bahem/maaN/beTii ko shak ke binaa par qatl kar diyaa…mard jab shak kartaa hai to tashaddud ke imkaanaat kaafii Had tak hote haiN jab k aurat kaa shak use kuRhne aur andar hii andar ghulne par majboor kar detaa hai…vo Khud ko tabaah kar letii hai.