Shair Jo Dil Se Niklay

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

Chup Chaap Apni Aag Main Jaltay Raho Faraz
Dunya Tou Arz-e-Haal Pe, Bay-Aabroo Karay

PS: I need To Leave For Home.. So.. Main Yahan Discontinue Kerta Hoon.. :$

Lagay Raho Munna Bhai :p

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

chali hai shehr main kese hawa udasee kee
sabhe nay oorh rakhee hai reda udasee kee

faraz" nay tujhay dekha to kis kadar khush tha
phir us kay baad chale woo hawa udasee kee

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

i gotta leave too for lunch ......will join later :)

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

SHAIR OF THE THREAD

Mohabbat Ka Anokha Silsila Hai
Kahin Yasrub Kahin Karbala Hai

BeInG lOn3lY !!! SId !!!

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

Tu nahi to zindagi main aur kia reh jae ga,
Door tak tanhaiyon ka silsila reh jae ga,
Yun bhi ho ga wo muje dil se bhula de ga magar,
Ye bhi ho ga khud usi main ik khalaa reh jae ga!

Re: Shair Jo Dil Se Niklay

tanhaeeoo'n ke aag main kitna jala hai koon
khamosheeoo'n ke bafr galay to pata chalay