Re: Saza deni chahiye ya nai
shaayad vo din door nahiiN jab barbariyat is darja pahoNch jaayegii k borii-band laashoN ko yeh darinde Khurd o ta’aam ke liye becheNge…ab gid to dunyaa se dheere dheere naa-paid ho rahe haiN…yeh target killers aise hii darinde haiN jo aisaa kaam kar sakte haiN…magar, gid to ek nek kaam kartaa hai…ganda tarteen kaam insaanoN kii falaaH o bahbood ke liye kartaa hai magar yeh to kisii nek kaam se kosoN door haiN. sad!
maiN to Khoon ke aaNsoo rotaa huN unkii darindagii pe! ![]()
Allah na kare k aise din bhii dekhne aur sunne paReN…
aameen