Sard Mosam ki shayari!

Re: Sard Mosam ki shayari!

Raat bhar sard hawaa chalti rahi

raat bhar hum nay alaao taapaa

meiN nay maazi sey kai khushk si shaakheiN kaateiN

tum nay bhi guzray huey lamhoN kay pattay toRey

meiN nay jaiboN sey nikaali sabhi sookhi nazmeiN

tum nay bhi haathoN sey murjhaaye huye khat kholey

apni inn aankhoN sey meiN nay kai maanjay toRay

aur haathOn sey kai baasi lakeereiN phenkeiN

tum nay palkoN pay nami sookh gayi thi, so giraa dii

raat bhar jo bhi milaa ugtay badan par hum ko

kaat kay daal diyaa jaltay alaao meiN ussay

raat bhar phoonkoN say har lou ko jalaaye rakkhaa

aur do jismoN kay eendhan kou jalaaye rakkhaa

raat bhar bujhtay huey rishtey ko taapaa hum nay

(GULZAR)

Re: Sard Mosam ki shayari!

Re: Sard Mosam ki shayari!

December to hay he uddasi ka mosam :hinna:

Re: Sard Mosam ki shayari!

Re: Sard Mosam ki shayari!

Garmi Aur Sardi ka Imtizaj

Re: Sard Mosam ki shayari!

December aa nahin raha hai, December aa gaya hai

Re: Sard Mosam ki shayari!

Mubarak Ho Mubarak Ho