Re: Sahib-e-fehm-o-zaka
jii jii…yaad-dasht achchhii hai aapkii…yeh rahii poorii Ghazal:
Nahi ishq mein is ka to ranj hamen ke qaraar-o-shakeb zara na raha
Gham-e-ishq to apna raqeeb raha, koi aur bala se raha na raha
Na thi haal ki jab hame apni khabar rahe dekhte rahe auron ke aib-o-hunar
Padhi apni buraiyon par jo nazar to nighaah mein koi bura na raha
Hamen saghir-e-badah ke dene mein ab kare saaqi to hai ghazab
Ke yeh ahd-e-nishat yeh daur-e-tarab na rahega jahan mein sada na raha
Lage yun to hazaaron hi teer-e-sitam ke tadapte rahe padhe khaak pe ham
Vale naz-o-karishma ke tegh do dam lagi aesi ke tasma laga na raha
**Zafar **aadmi us ko na jaaniyega ho woh kaisa hi sahib-o-fahmo-zaka
Jise aish mein yaad-e-Khuda na rahi, jise taish mein khauf-e-Khuda na raha