Saalana Mushaie'raa e Cafe'

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

acha waqyee mushkil nahi ?

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

nahi
bas dil ka istamaal karain

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

aisha jab dil ka istemaal kiya shairii mein mei ne to eik ghatiya si nasar hi banaii :bummer: is liye parhna acha lagta hai sher kaa

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

haye haye

Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Ke BeRukhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai ..

Jo Aaj Mera Nahi Hai Woh Kal Mera Hoga ,
Kay Har Zamana Urooj-O-Zawal Rakhta Hai ..

Ajab Nahi Woh Jahan Bhar Ko Bewafa Samjhe ,
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai ..

Kahan Talak Koi Dast-E-Karam Ko Zehmat De ,
Tamaam Sehar Hi Dast-E-Sawaal Rakhta Hai ..

Meri Uraan K Aagay Hai Kis Qadar Be-Bas ,
Yeh Aasman, Jo Sitaron Ka Jaal Rakhta Hai ..

Tera Khayal Hi Kuch Meherban Hai Verna ,
Jahaan Mein Kaun Kisi Ka Khayal Rakhta Hai ..

Woh Apne Ishq Mein Kaisa Kamal Rakhta Hai ,
Kay BeRuckhi Mein Bhi, Mera Khayal Rakhta Hai

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

acha sher hai aisha:)

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

shukriya shukriya:blush:
chand bhi parh lai acha shair