Saalana Mushaie'raa e Cafe'

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

^:omg:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

wah..wah..wah…:blush:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

mai toh vaaaaaaan toooooooooo thaaareeeeeeeeee faaaaaaaaaaaar faaaaaaaaaive shhhhhiksh saavaaaaan aaiiiiiiiiight naaaaaaaaaine tain sunaoun ghi :blush:

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

wah..wah..wah..

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

kabhi ABC kabhi 123 kabhi alif bay pay
sab ko yuhnhi khwaar kiya unkil ne GS pay :smack:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

wah wah bulvuli :lajawab:

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

shukriya :Salute:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

Sunn kar yeh shair tujhay kyaa daad dooN
Dill yeh chahtaa hay zoor say aik LaaT dooN

:chai:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

Aap loug cha’nd minute wait kijiye zara:chai:

maiN aik naYee taaza ghazal likh rahaa hooN bator-e-Khaas iss dhaagaY kaY liye.. unwaan maiN naY soch liyaa hai…

BRB :sheen:

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

lagta hay unwaan buhat zoor say aa raha thaa :D

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

^
jee haaN bahut zor saY aa rahaa thaa :smiley:

tau iss dhagaY kee munaasibat saY aik abhi abhi likhi huvee ghazal pehs-e-khidmat hai… chooNkaY yeh bahut jaldi maiN lkhi gaYee hai aur phir jiss qism kaY dhagaY kaY liye likhi gayee hai tau iss maiN QafiyoN, radeef, behr aur tukk bandi kaa khiyaaL bilkul naheeN rakhaa gayaa hai… kaheeN kaheeN aik misra’ mukhtasir tau doosraa intehaai tawaalat ikhteyaar kar gayaa hai… laikin aap logoN saY guzaarish hai kaY kalaam kee nok palak saY ziayaadh mozu-e-kalaam balkaY “moza-e-kalaam” par ziadah tawaajoh daiN…:halo:

MozaY

MozoN saY uss kaY ayaaN ik daastaaN hai Allah Allah
Kamraa kiouN Mehk raha hai iss tarah Allah Allah

Koi harzah siraaN, koi gosha nasheeN, koi chup rahaa hai
Har taraf mar rahi haiN laRkiyaaN Allah Allah

Jo mirgi kaY doroN maiN haiN akseer samjhaY jaataY
Yeh mozaY ussi kaY tau haiN Allah Allah

Amreekaa kee flight maiN naa phir beTh sakaa woh
Airport par jub utarwaa liyaa joota Allah Allah

Yeh mehek naheeN, baad-e-Naseem hai goyaa
Kabhi khud soongh kaY dekho Allah Allah

– Anwaar Qureshi

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

Jo mirgi kaY doroN maiN haiN akseer samjhaY jaataY
Yeh mozaY ussi kaY tau haiN Allah Allah

Iss shair main shaai'er apnay mehboob say keh raha hay kay agar kabhi ussay mirgi ka daura paRaa tu mehboob fooran apnay moozay hazir kar day ga. Aur apnay moozay kabhi nahi utaray gaa takay dawa ki taseer main izaafa hota rahay.

Wah Wah Wah
mohabbat ki laafaani daastan :(

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

^
aur mera fav. :smooth:

Koi harzah siraaN, koi gosha nasheeN, koi chup rahaa hai
Har taraf mar rahi haiN laRkiyaaN Allah Allah

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

mandarja madhubala shaair main ashiq apnay mehboob ko yeh bhaashan day raha hay kay agar woo uss kay moozay say impress nahi ho rahi tu koi baat nahi. Ashiq kay moozay ki taseer say marr janay wali laRkiyaaN buhat haiN joo kissi bhi gooshay main jaa kar marr sakti haiN

Abay yeh shaair kinn chakkarooN main hay :konfused:

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

^
aakhri sher par amal karaiN, saaraY chakkaroN kaa lug pataa jaaYe gaa:cb:

PS: [EMAIL=“lol@manarja”]lol@manarja madhubla

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

[QUOTE]
Koi harzah siraaN, koi gosha nasheeN, koi chup rahaa hai
Har taraf mar rahi haiN laRkiyaaN Allah Allah

[/QUOTE]

is main shaair yeh bhi bata raha hay k lerkiyan intyhaye safaye pasand hote hain or is qisam kay MOZoon ki mehak un ki tabeyt-e-saleema per intyhaye naguwar guzertee hay

jub kay shaair nay lerkioon ki qaid laga** ker lerkoon ko is saff say nikal diya hay **kay woh is mozoon kay perfume kay aade mujrim hain ..us per yeh is ka koi assar nahi ... unhain sabzi mandi kay koora karkat ki smell hee mar saktee hay ..yeh bhi ik imkaan hay

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

ajee iss sher maiN muda’a ileyah laRkoN kee sohbat maiN jaataa hee naheeN hai tau laRkoN kaa zik’r chaY ma’ani daara’d???:faizy:

PS EDIT: plus there is no mention of mudha ilehay being **a LARKA… **may be it’s an aap beeti of a LARKI:D

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

:chai:

Wah…wah…wah

Re: Saalana Mushaie'raa e Cafe'

hasya see main hassa ajeeb par tu naen se hasya
dil vich tairay jo raaz see sanu tu kiun naen dasya

Re: Saalana Mushaie’raa e Cafe’

yeh shaair nay haqooq-e-mardaan ki himayat main ik difaye iqdam kernay ki koshish kertay hoyee apni app beete ko kisi masoom lerki kay nam say mosoom ker diya snooty