Re: Romantic Ashaar
Nice Ahmer ![]()
Aaj hum shaam mein aaye hain to koi bhi nahi hai kahan hai asad saab ts sj jw ravi byaad n everyone else :aq:
Re: Romantic Ashaar
Nice Ahmer ![]()
Aaj hum shaam mein aaye hain to koi bhi nahi hai kahan hai asad saab ts sj jw ravi byaad n everyone else :aq:
Re: Romantic Ashaar
Chehray Pe Meray Zulf Ki Bikhrao Kisi Din
Kia Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din..
(Amjad Islam Amjad)
Re: Romantic Ashaar
Kind of feel karnay ki baat hai janab saari warna lafzon mein to jaan nahi hoti :)
Re: Romantic Ashaar
Jee Theek Kaha Aap Ne.. :)
Re: Romantic Ashaar
Chehray Pe Meray Zulf Ki Bikhrao Kisi Din Kia Roz Garajtay Ho Baras Jao Kisi Din..
(Amjad Islam Amjad)
thori si ghalti hai :)
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajate ho baras jao kisi din
Re: Romantic Ashaar
thori si ghalti hai :)
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din kya roz garajate ho baras jao kisi din
Jee Mujhe Lag Raha Tha, Then Mujhe Zehen Main Jo Correct Laga Likh Dia.. Thanks for Correction :)
Re: Romantic Ashaar
waisay amjad sahab ki yeh ghazal bhi aik bohat umda namuna hai urdu poetry ka i love this ghazal :)
Re: Romantic Ashaar
Yeah Very Rite.. :)
Romanitism Pe Based :)
Re: Romantic Ashaar
mujhey koi romantic sheir nahi ata :p
Re: Romantic Ashaar
mujhey koi romantic sheir nahi ata :p
Jee.. We Can Understand.. Aap Sirf Tasbeeh Parhtay Raha Karo :p
Re: Romantic Ashaar
sinf e nazuk ko apni he tareef mein bhi koi sher nahi aata cuz inki tareef anwein free mei ho jaati hai :p
Re: Romantic Ashaar
lolx.. Baja Farmaya :)
Re: Romantic Ashaar
mohabbat k lye kuch khaas dil makhsoos hotay hain
yeh wo geet hai jo har saaz pay gayaa nahi jata
Re: Romantic Ashaar
rastey mein gire hain phool uthata hai koi koi
mohabbat karte hain sabhi nibhata hai koi koi
Re: Romantic Ashaar
kon kahta hai mohabbat ki zuban hoti hai
yeh haqeeqat tou nigahoon say bayan hotee hai
Re: Romantic Ashaar
Hum apni rooh teray jism main he choor aa'ay
Tujhaay ga'lay say lagana to ik bahana tha
Re: Romantic Ashaar
sinf e nazuk ko apni he tareef mein bhi koi sher nahi aata cuz inki tareef anwein free mei ho jaati hai :p
aap ki tu free main bhi nahi hoti
Re: Romantic Ashaar
@ ashi weeks baad aati hain aur aatay he larai :) neways khush rahiye !
@Sj Nice shair Sj !
Re: Romantic Ashaar
Acha Khasa Bethay Bethay Gum Ho Jata Hoon
Abb Main Aksar Main Nahi Rehta Tum Ho Jata Hoon