Re: Ro Imran Ro - Go Imran Go
Jub Aatish per Jawani key aam’d aam’d thee,
muhalay maiN eak cricket team banayee gayee
uss team maiN koy batsman tha tu koy bowler
hamara 12th player tha
lamba choRa, buland awaz, aur aqal gitooN maiN
issi liya naam tu shayad kisi ko yaad na tha
mashoor alb’ata Captain kay naam say tha
ussay hum toss kay liya send kertay,
umpire khaRa kertay, laRai, jhagray kay doraan,
galam galoch bhi yehi captain sahib kertay
hum sab key raye thee kay captain baRa rondoo aur koy nahi
per Imran khan nay hamay ghalat sabit ker diya.. no doubt he is called Kaptaan…
Kaptaan ko dekh ker aaj kal Captain buhat yaad aata hhay, kyoN kay uss maiN aqam phir bhi Kaptaan say zyada hi thee