Request--ghazal by Abida parveen

Re: Request--ghazal by Abida parveen

10xx SinIner...u r a perfect najoomi...
u know what i want!!

Re: Request--ghazal by Abida parveen

ham ko yaa.N dar dar phiraayaa yaar ne
laamakaa.N m.en ghar banaayaa yaar ne
aap apane dekhane ke vaaste
ham ko aa_iinaa banaayaa yaar ne
apane ik adanaa tamaashe ke liye
ham ko suulii par cha.Dhaayaa yaar ne
aap chhup ke ham ko kar ke ruu-bar-ruu
Khuub hii rusvaa karaayaa yaar ne
aap to but ban ke kii jalvaa-garii
aur hame.n kaafir banaayaa yaar ne zer-e-shaan-e-beniyaazii khul ga_ii
jis taraf ruKh ko phiraayaa yaar ne