Reply with shair

Re: Reply with shair

Kamad ka d hata do, to ban geyi kaman
Aur jo hata do K, to aik woh huwi jati hai!

Re: Reply with shair

Raigaan nahi jati dil py jo guzarti hy
Aadmi bikharta hy shairi nikharti hy

Re: Reply with shair

Na pooch mere dost, jo dil pe hai guzri
Jab hole se nain hamain bhai keh dala

Re: Reply with shair

Hai Shaok-O-Zabt-e-Shaok mein Din-Rat Kashmakash
Dil mujh ko.... Main hon Dil ko Preshaaa'n Kiye Hoye...!!!

Re: Reply with shair

mat pooch k zabt ki kis raah say guzray

yeh dekh k tujh pey koi ilzaam na aya

Re: Reply with shair

Me load objection, yeh ghalt ilzaam hai
Moltyfoam bed main aram hai, bas aram hai

Re: Reply with shair

Addm ye zabt kay aadaab kahan say seekhay
tum to har rang main lagtay thay bikharnay walay

Re: Reply with shair

Tute Hue Pyalon Mein Jaam Nahi Aata,
Ishq Ke Mariz Ko Aaram Nahi Aata.
Dil Todne Wale Ye Kyu Nahi Samajhte,
Ki Tuta Hua Dil Kisi Ke Kaam Nahi Aata.

Re: Reply with shair

*us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai ...
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai *

Re: Reply with shair

^ iski choti si tashrih bhee likhdain takay koi jawab soojhay

Re: Reply with shair

jaam wala koi bhi shair likh dain jawab main.. or kia kerna hai

Re: Reply with shair

^ ok!

chaliye khush kun nahi hay to ghamgeen he sahi
meri chaahat ka an*jaam* kuch to huwa

Re: Reply with shair

yeh kia kia ? naqa l k ley bhi aqal chaeye app nay sabit ker dia

Re: Reply with shair

^ jaam aagya sher main k nahi? zyada sophisticated bannay ki zaroorat nahi hay, agla shair postain

Re: Reply with shair

hum dil to kia rooh main uter gaye hotay

tu nay chaha hee nahi mujhay chahnay waalooN ki terah

Re: Reply with shair

meray dosto meri zindagi jo udaas hay, mujhay raas hay
hay jo teshnagi meri rooh main, ye jo pyaas hay, mujhay raas hay

Re: Reply with shair

dekha jo teer kha ker kameen gaah ki teraf

apnay he dostoon say mulaqaat ho gayee

Re: Reply with shair

meray dushman to kameen-gah main mojood na thay
teer aaya to magar kis ki kamaan say aaya
dil ko sao tarha say taskeen kay deta houn faraib
ye hunar bhi to mujhay ahl-e-jahan say aaya

Re: Reply with shair

naram lafzon say bhi lag jaate hain aksar chotain

dosti ik nazuk sa hunar hote hai

Re: Reply with shair

*tum takaluf ko bhi ikhlas samjhtay ho Faraz
doost hota naheen har hath milanay walla *