Reply with shair

Re: Reply with shair

Be-Waja Nahi Roota Ishq Mein Koi ‘Ghalib’,
Jisy Khud Se Barh Ke Chaho, Wo Rulata Zaroor Hai…!

Re: Reply with shair

**Ajab tamasha hay mit'ti say banay logoon ka sagar

bay wafaaye kero to rotay hain , wafa kero to rulatay hain**

Re: Reply with shair

humko unsay hay wafa ki umeed
jo nahi jaantay wafa kya hay

Re: Reply with shair

waada wafa na kertay

waada to kia hota

Re: Reply with shair

woh jo hum main tum main qarar tha, tumhain yaad ho kay na yaad ho
wohi yaani wada nibah ka, tumhain yaad ho kay na yaad ho

Re: Reply with shair

Wo aik bat bhoht talakh kahi thi us nay.
Baat tu yaad nahi, Yaad hay lehja us ka

Re: Reply with shair

main logon se mulaqaton ke
lamhy yaad rakhta hoon
main baatain bhool bhi jaon
to lehjy yaad rakhta hoon

Re: Reply with shair

yoonhe Mausam ki ada dekh ker yaad aya

kis qadar jald badal jatay hain insaaN jaana

Re: Reply with shair

Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

Re: Reply with shair

zara see bat pey barsooN k yaaranay gayee

chalo acha hoa kuch LOg pehchaanay gaye

Re: Reply with shair

zara si baat pay daman chhuRa liya humsay
tamaam umr ki wabastagi ko bhool gaye

Re: Reply with shair

Mer bhi jaaon ga to kahan LOG bhula hee dain gay

Mere lazfz, Mere honay ki gawaahe dain gay

Re: Reply with shair

mere lafz paRay to thay magar
teri sama'aton se zara paray

Re: Reply with shair

to chala gya mere humsafar ,mur k to dekh ik nazar

mere kashtiyan hain jale hoye.tere saahiloon say zara peray

Re: Reply with shair

Jinhain maanta hi nahe yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay her tarah say jo raas thay wohi log hum say bichar gaye

Re: Reply with shair

musafir to bicharty hain,rafaqat kab badlati hey
muhabat zinda rehti hey mohabat kab badalti hey

Re: Reply with shair

**tere hijr main yara kiya kiya na mehboob kiya

Sabr-e-Ayob kiya girya-e-yaqoob kiya**

Re: Reply with shair

teraa hijr meraa naseeb hai, teraa Gham hii merii Hayaat hai!
mujhe terii doorii kaa Gham ho kiuN? tu kahiiN bhii ho, mere saath hai
!

Re: Reply with shair

Aasma K Tare Aksr Pochte Hai Mjhse,
Kya Tmhe Aj Bi Intezar Ha Uske Laut Ane Ka.....
Or Ye Dil Muskura Ke Kehta Hai,
Mujhe To Ab Tak Yakin Nahi Hota Is k Chale jane ka.

Re: Reply with shair

phir miloge kabhii, is baat kaa va'da kar lo
ham se ik aur mulaaqaat kaa va'da kar lo!