**
Bohat Mumkin Hai Duniya Cheen Le
Mujh Se Teri Yaadein
Keh Main Ab Aur Tere Gham Ki
Hifazat Kar Nahi Sakta
Mujhe Azaad Kar Tauq-e-Aseeri
Bakhshney Waaley
Main Zanjeeron Mein Elaan-e-Baghawat
Kar Nahi Sakta
Meri Mushkil Yeh Hai Keh
Mujhe Adakaari Nahi Aati
HaQeeQi Aadmi
Rasmi Mohabbat Kar Nahi Sakta..**