Rape and murder in Indian-held Kashmir

Bahas mat kijiye, bat kijiye aur sahi bat kijiye. Aap kabhi India aaye hain? aapne yahan ki Masajid aur Madaris ka daura kiya hai kabhi? Aapne kabhi yahan ki fal fool rahi Islamic Idaro ko dekha hai kabhi? Aaapne kabhi maloom karne ki kosish ki hai ki muslim idaro ko yahan ki sarkar kitni madad faraham karte hai? Aapne kabhi ye maloom karne ki kosish ki hai ki India me minorities jis tarha se tarakki ke raste pe chal rahi hain kya usi tarha se Pakitan me bhi chal rahi hain? agar haan to meharbani karke mujhe apne natayaz se aagah karwaiye aur nahin to phir kis bina pe aap hindustan ko bura bhala kahte hain? kya un chand firkaparadt logo ki bina pe jinka mazhab hi nafrat ki buniyaad pe tika hua hai?