*** ~ Random Shairs ~ ***

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

abhi ka sazish ka mosam abhi tum ishq matt karna
yahan andhi ka charcha hai abhi tum rait jaisy ho

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

ha ha.

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

fikar ye tii shab e hijar katy gi kyon kar

lutaf ye tha k hamain yaad na aya koi

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

Faqeer kyun tujhe marne ki bd'duwa dega ,,,

Tera garoor hi kar jaye ga Tabaah tujhe ...

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

ankhon ankhon chal party hain taaro'n ki qandeel liye

chand k saath hi dhul jaty hain log mohabbat karny waly

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

Kuchh falsafe yun the jinki ehmiyat batla na sake..
Kuchh dil me to tha magar dikhla na sake...

Kuchh tum masoom the Jo samajh na paye hame...
Kuchh hum majboor the..ke samjha na sake...

badhti dooriyon ka ye pyaar ham nibha na sake...
kya karte... chaahkar bhi usko ham bhula na sake...

kal uski tasveer dekhkar bhar aayi ye aankhen…
khush rehne ka vaada tha… aansoo baha na sake…

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

phir usi ki yaad main dil beqrar hai nasir

bichar k jis sy hui shaher shaher ruswayi

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

https://fbcdn-sphotos-b-a.akamaihd.net/hphotos-ak-ash3/s480x480/598372_10151589744539616_1179935272_n.jpg

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

main is kheyal sy jata nahi watan ki taraf

k mujh ko dekh k is but ka jeee bura na ho

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

chashm-e-Hazeen main aa to basay ho meray habib
kyuon phir bhi meri deed ka maskan udaas hai

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

Hai Amjad aaj tak woh shakhss dil main,
Ke jo uss waqt bhi mera naheen thaa..

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

do-meel par hee tha meray mehboob ka makaan
chay-meel main nikal gaya josh-e-shabaab main

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

Zamaana dost hai sara kis kis ko yad rakho ge,
Khudaa karey ke tumhe mujhse dushmani ho jaye..

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

Zara dum ko bhulaa do qissa dard e judai tum,
Bina dil ke, lekin manaa lo aaj eid ka din hai..

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

lo dhalak gaya woh aansoo keh jhalak raha tha jis main
teri sham-e-rukh ka partau tera aaks pyara pyara

Re: *** ~ Random Shairs ~ ***

faslain dil ki girata hua jo dar aya
wo koi aur na tha khawahishon ka lashkar tha