Re: Raindance ka baja ,
Lala Rainu..How are you man? How was your break?
Well Aik taza ghazal aap kay naam
Na shikaayatein, na gilaa karey
Koi aisa shakhs hua karey
Jo merey liye hee saja karey
Mujh hee sey Baatein kiya karey
Kabhi royey jaaey woh bepanaah
Kabhi be-tahaasha udaas ho
Kabhi chupkey chupkey dabey qadam
Merey peechay Aa kar, hansa karey
Meri qurbatein, meri chaahatein
Koi yaad kare qadam qadam
Mein taveel safar mein hoon agar
Meri waapsi ki Dua karey
From the Desk of Dr. Adnan Nadeem Dani (Ajnabi4ever)