Mirza Ghalib's
rahiye ab aisi jagah chal kar jahan koi na ho ham suKhan koi na ho aur ham zabaan koi na ho
bedar-o-divaar saa ik ghar banaayaa chaahiye koi hamasaaya na ho aur paasabaan koi na ho
pariye gar bimaar to koi na ho timaaradaar aur agar mar jaaiye to nauhaa_Khvaan koi na ho
Nice:)