**As Salam-o-Alaykum warehmatullah wbarkato hu 
**

Jee To Aapies ‘n’ Bhaiyazz main ne socha
Mein kisi ka bhai shai nahi hoon 
1.Bachpan Ki Eid Aur Aaj Ki eid Mein Kia farq Hai?
Pehlay mein chota tha ab bara ho giya hoon Eid waise ki waise he hay 
2.Woh Kaun Si Eid hai Jo Aap Ki Yadon mein Aaj tak mehfooz Hai?
Eid-ul-fitr or Eid-ul-Adha
3.Bakkar Eid Per Aap K Ghar Kaun sa Pakwan Her Dafa Zaroor Banta Hai
Sawaniya or Ghost. Khaoo gi? 
4.Bakkar Eid Aap Usi Josh-o-Khrosh k Mutabiq Mnati/Mnatay hain Jaise Eid -ul-Fittar Mnati/Mnatay hain?
**Haan Magar Bakray ke saath eid ziyada maze darr ho jati jab woh bhag jay **
5.Is Eid Per Aap Eidi Lete Hain Aur Detay Hain Ya Khud Le Ker Bachon Ko kehte Hain Beta Yeh gosht Ki Eid Hoti hai Eidi nahi Millni
Sub chalta hay
6.Eid K Din Aap Ki Kia Masrufiyat Hotin hain?
GS par online nahi ho pata
7.Bakkar Eid Per Naye Kapre Banwate Hain Ya Sochte hain k k Kia Kapre Bnwanay Hain Wohi Puranay Pehan lein gay?
New ji New 
8.Eid k Is Mauqa Per Chamak daar Suit banwate hain ya Simple ?
Karant wala Jise dekh kr larkiya ghir jain… heheh 
9.Bakkar Eid Per Aap Laug KAhin Aate Jate Hain?Ya Ghar Per He rehte Hain?
Ghar/bahir 2no chalta hay
10.Eid K Liye Kapre Le Liya?Agar Nahi Liye To Kab tak Lein gay Ya Lenay Ka Irada He Nahi?
Yeh konsi eid ka zikar ho raha hay 
11.Aap ne Qurbani ka Janwar Le Liya???
Kiya photo nahi dekhi ???
12. Nahi Liya To Kab Tak Lein Gay
hain??? yeh kiya…
13.Agar Le Liya To kaun Se Colour Ka Hay 
Black n white hehehe
**Abhi k Liye Aine Questions Baray hain **
Yeh na Ho Aap gussay Mein Aa Jayein