Re: Pray for me plzzzzzzzzzzzzzzzzz
sleep lia khoob, thankoo :-p
yeah yeah baatain to bari achi karta hoon … I know, lekin meri bataon ko sunta kon hay … sab hip-hop hippy banay howay hain aaj kal …
ab suno kal kia howa…
Timaatar .. u know 100 rupay kilo … lainay gaya to pata kia howa ?
thailay waalay nay aloo par laal colour kar kay day dia…
yar… yani aloo and timatar main koi farq hi nai ?
ab main kaatay jaraha hoon … lekin ander say wo aloo ki tarah niklata jaraha hay … poora aloo iss ummed par khatam kardia kay shaayd aakhir main koi timaatar eejaad hojai… lekin nai howa…
main nay himmat nai haari, usu aloo ko mesh kar kay aloo ki timatar-chatni bana kay gapa gupp kha gaya…
hain… yeh main aap ko q bata raha hoon ? … :s
shaayd dimagh ki battery down howi hay, waito charge karloon…