Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Shaam se aankh mein nami c hai
Aaj phir aap ki kami c hai............
----------------
Subho hoti hai shaam hoti hai
Umr yoonhi tamaam hoti hai
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Shaam se aankh mein nami c hai
Aaj phir aap ki kami c hai............
----------------
Subho hoti hai shaam hoti hai
Umr yoonhi tamaam hoti hai
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Tan pe orrhe huey sadiyon ka dhuaan shaam-e-firaaq
Dil mein utri hai ajab sokhta jaa(n) shaam-e-firaaq
Khwaab ki raakh sameitte gi, bikhar jaaye gi
Soorat-e-sho’la-e-khursheed-rukhaa(n) shaam-e-firaaq
Baais-e-raunaq-e-arbaab-e-junoo(n), veeraani
Haasil-e-wehshat-e-aashufta-saraa(n) shaam-e-firaaq
Tere mere sabhi iqraar waheen bikhre they
Sar jhukaaye huey baithi hai jahaa(n) shaam-e-firaaq
Apne maathe pe sajaa le tere rukhsaar ka chaand !
Itni khush-bakht o falak-naaz kahaa(n) shaam-e-firaaq
Dhalte dhalte bhi sitaaron ka lahu maangti hai
Meri bujhti hui aankhon mein rawaa(n) shaam-e-firaaq
Ab to malboos badal, kaakul-e-be-rabt sanwaar !
Bujh gaeen shehr ki sab raushniyaa(n) shaam-e-firaaq !
Kitni sadiyon ki thakan is ne sameitti Mohsin
Ye alag baat k ab tak hai jawaa(n) shaam-e-firaaq
**hunn dasso…:halo: **
![]()
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
main ne dekhaa deewaanon ko shaam ke baad
Dhundh rahe thay veeraanoun ko shaam ke baad **
*tareeki phir saare aib chhupa legi
le aana ghar mahmaanon ko shaam ke baad *
*main ne us ka sog manaya kuch aisa
Khaali rakha paimanon ko shaam ke baad *
*yaad kare jab mujh ko teri tanhai
dekha karnaa guldaanon ko shaam ke baad *
**chaand ke khouf se kar leta hun band
kamre ke raushandaanun ko shaam ke baad !!
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
youn to kehne ko thikana bhi hai mera lakin
jis main maatam ho subo Shaam to wo ghar kia hai
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Agar kuch qeemti lamhey nikal aayein kisi soorat
Chalo, iss dil ki khatir ham bhi kuch kaam kar Jaayein
**
Kayi Shaamein ganwa di hain Gham-e-Haalaat mein hum ne
Tumharey naam ik Sundar Suhaani SHAAM Kar Jayein**
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
*Jis gali se voh guzre khushboo ka basar ho
Shaam bhi dhale to lage ke sahar ho
*
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Ye dasht e hijar,ye wehshat,ye SHAAM k saaye
Khuda ye waqt teri aankh ko na dikhlaaye
uss k naam se lafzoon mian chaand utray hain **
**woh aik shakhs k dekhon to aankh bhar aaye
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Wah wah,, MashaAllah isey kehtey hain participation,,,,,
ab,,, Shamm to kat gayi.... Raat ki taraf chaltey hain,.,,
kia khayal hai doston ka??
Raat,,,,,,,,,,,, + Shab,,,,,
kia kehtey hain humarey dost????
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Koi,,, booolooo bhaii
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
**
**
ab main bolon k na bolon bolo bolo **
**theek farmaati hain aap abb rat ki taraf he chalna chahiye :)
SO TO DOSTO AB TOPIC HAI "RAAT" **
**jo k hamain BEWAFAI ne dia hai
baat bhi bewafai ki **
**raat bhi bewafai ki
** wah shair he hogya :)**
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Yeh dil hi tha jo seh gaya woh baat aisy keh gaya
kehny ko phir kya reh gaya ashkon ka derya beh gaya
jab keh k woh dil ber gaya tery lye main mer gaya
roty hain iss ko RAAT bher main oar meri awargi
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Saal-h-saal meray naam barabar likhay
Kabhi din mein to kabhi RAAT ko uth kar likhay
Teray khat aaj main Ganga mein baha aaya hoon
Aag behtay huey paani mein laga aaya hoon!
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
*Dard kaisa bhi ho aankh nam na karo
RAAT kaali sahi koi gham na karo *
*ik sitara Bano Jagmagatay raho
Zindagii mein sada muskaratay raho
*
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Bhoot khoooooooooooob ..........
bahut sawal liye chal raha hun seene me,
nahin sakoon raha is tarha se jeene me.
na ab zamin hei meri, na hei aasman mera,
na manzilon ka guman, na koi kayam mera.
mei chal raha hun charag-e-jahan dil me liye,
Ae tanha raste sun!! mei bhi musafir hun tera.
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Kal RAAT bazam mein jo milla gulbadan saa tha
Khushboo say uss kay lafaz thay chehra chaman sa tha
Daikha ussay to bool paray us kay khud o Khaal
Poocha ussay to chup sa raha, kam sukhan sa tha
M.Naqvi
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
Din bhi udas oor meri RAAT bhi udas
Aisa to waqt aye ghame doran na tha kabhi
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
*ma fav 1 *
chamak uthta hai sar e shaam teri yaad ka chaand
*kabhi tareek na dekhi SHAB e furqat main nay *
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
is mai RAAT , ya SHAB kahan hao???
prev, page pe , rules perhooo
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
yaad aata hai rooz-o-Shab koi
hum se rotha hai besabab koi
Re: !POETS FIGHT CLUB~ AN EFFORT FOR SI
*isi ka jawaab haazir hai *
kahaan gaye SHAB e furqat k jaagnay waalay
sitaara e sheri, hum kalaam kab say hai