Poetry and Mahawaray

Re: Poetry and Mahawaray

sar ko tere sar se bheRaa …

maybe

:omg: Is se behter tu kuch nahi ho sakta:rotfl:

Re: Poetry and Mahawaray

:hehe:

Ehsan bhai is googling to look for the second misra now

Re: Poetry and Mahawaray

Aap nay doosra misra bana diya toh aab mein kya google karoon.:D

Re: Poetry and Mahawaray

:smiley: AQ ko bhi help ky liy keh chuky hain:wink:


correction:

badaltaa hai ra'ng aasmaaN kaisaY kaisaY


Iqbal said:

"kay daanaa khaak maiN mil kar gul-o-gulzaar hota hai"

"DhooNdh uss ko abb charaagh-e-Rukh-e-Zebaa leY kaY"

"Aaj bhee ho jo baraaheem kaa imaaN pedaa
Aag kar sakti hai andaaz-e-gulistaaN pedaa"

"Tub Khaak kaY parday saY insaaN nikaltay haiN"

"DhooNdho gey hammaiN mulkoN mulkoN
MilnaY kaY naheeN, naayab haiN hum :)"

Is sy yad aiya,
Teri yad aai tery jany ky baad
Tujhy kho diya ham ny pany ky baad:adab arz kerta smiley:

Re: Poetry and Mahawaray

Ehsan ko na jhutlao, us ko maana jata hai
LogoN ko bas aaj kal isi tarhaN pehchaana jata hai :snooty:

Thaa thak thaiya thaa thak thaiya

Wah wah

reminds me of Saleem Nasir Marhoom in AaNgan TeRha

Khali peeli wah wah nahi kehtay, Aisi baatoN pe to kuch note shote paish kiye jaate hain :D

aap nay kahaa hota woh misra tau ehsan bhai zaroor app ko note detay :D

Re: Poetry and Mahawaray

Nobody read my poetry :naraz:
Bad new Mods :chai:

Ehsan bhai ya to note daitay haain yaa vote. I already got the vote :D

Re: Poetry and Mahawaray

dhaandhli tau shuru say kartaY rahai haiN… :omg:

Wah wah, wah wah, isi baat pe aaj Pulaa’o zarda ho jaa’ai iftari main :smiley:

No, it’s nihari. :blush:

Ehsan Bhai ki taraf se

Hum pe ilzaam to aisay bhi hai, waisay bhi sahi
Naam budnaam to aisay bhi hai, waisay bhi sahi

:snooty:

Hazrat-e-Iqbal naY farmaayaa thaa:

Maa’loom naheeN yeh haqeeqat hai kaY Khushaamad
Keh daY koi Ullu ko gar Raat kaa Shahbaaz :woho: