Poet Of The Month Mirza Ghalib

Re: Poet Of The Month Mirza Ghalib

zulmat kaday main meray shab e gham ka josh hai,
ek shama hai daleel e sehar so khamosh hai...

daagh firaaq e sohbat e shab ki jali hui,
ek shama reh gayee hai so woh bhi khamosh hai.

aatay hain ghhaib se ye mazameen khayal main,
GHALIB sareer e khasta nawa e sarosh hai.

Re: Poet Of The Month Mirza Ghalib

Mua’maar e chaman
.
Aye ameer e karvaan e sukhan, ye nalaa e fursa
Ye mastiye naghma zero bam e hasti
Muamaar e chaman, ye hujoom e hunar
Teray dar pay mehv e dua kia hay..

......Ghalib kee shairy aik lazawal dastaan e ishq ban kar Hind kee aik nokhaiz aur jawani kay aik haseen mor par urthi hui maidanon aur paharon main saya e shamsheer, zafar o kamrani ke aghoushe main pali hui , tehzeeb e Faris aur Hindustani tamadan ka dor e haazar kay liye aik anmol tuhfa, Heer, Sohni.Sasi kee khoon fashan dastan e gham aaho fughan main nihan azali aur abdi raaz aghouse main liye aik baang e daraa ke Himalya kee chotion say lot'they hui baazagasht kay saaz main raqasaan hay.
Ye jawan aur tawana zuban , dasht o sehra kee azaad aur dilfraib marghazaron ke ghazala apne seeene main aatishe toor ka noor aur apni hasti kee gehrayun ko aatishe Rum say manawer kar kay aik Bain al aqawami satah par aik chasma e hadaiyat ban chuki hay.
Ye zubaan mehrame raaz drone maykhana kay zaman o makan kee pabandiyun say azzad paigham apne dil main aik gehray aur taza zakham ke dil kharash aaho fughaan ,Rumi kay Nalaa nay kay soz ko apni aghoosh main liye Sadaf e Hind , maader e wattan kee kaseer al tamadan , kaseer al aquamee tehzeeb kay johar e jadeed Zubane urdu ko Gohar nayab bana kar 21 sadi ko Allah say Hamsukhani kee Dawate aam day rahi hay.
Ghalib kay ishq main pali hui aur Iqbal kay nafs main rachi hui zubaan e urdu aik naye aftaab e raaz ko aghoouhse main liye aik nai sehar hay……….

Aik armaaan e wafa, aik khanjare mashgaan,
Aik Hasrate ta’amir e gulstan e sukhan liye
Is shoreeda dil andaleeb e khizaan ke
Dastaan e aarzoo main nihan raaz kia hay?


BeInG lOn3lY !!! SiD !!!

Re: Poet Of The Month Mirza Ghalib

hamako un se vafaa kii hai ummiid
jo nahii.n jaanate vafaa kyaa hai

BeIng LoN3lY !!! sId

Re: Poet Of The Month Mirza Ghalib

rahii naa taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis ummiid pe kahiye ke aarazuu kyaa hai

Re: Poet Of The Month Mirza Ghalib

munhasir marane pe ho jisakii ummiid
naa-ummiidii us kii dekhaa chaahiye

~~Mirza Ghalib~*~

BeInG lOnely SiD*