Khudaa humko aisi KHudaai na dey
Keh apnay siwa kuCH diKHaai na dey
KHatawaar samjhay gee duniya tuJHay
Ab itni BHi ziada safai na dey
Hanso AAj itna keh SHor maiN
Sada siskioN kee sunaai na dey
GHulaami ko barkat samaJHnay lagay
AseeroN ko aisee rihaai na dey
Abhi tu badan maiN lahoo hai bohat
Qalam CHean lay roSHnai na dey
Khuda aisay Ehsaas ka naam hai
Rahay saamnay aur diKHai na dey