**Asalam u Alaikum !**
**siyahiyoon kay banay harf harf dhootay hain **
**yeah loug raat mein kaghaz kahan bhigotay hain **
**kis ke rah mein dehleez par diyeah na rakho **
**kawaar sokhi hoi lakriyon kay hotay hain **
**charagh pani mein moujoon say pochtay hon gai **
**woh koun loug hain jo kashtiyaan dabootay hain **
**qadeem qasboon mein kaysa sakoon hoota hai **
**thakay thakaye humaray buzurg sootay hain **
**chamakati hai kaheen sadiyoon mein ansoon say zameen **
**ghazal kay shair kahaan roz roz hotay hain **
****
**Bashir Badar **