Re: Poet of the Month May Faiz Ahmad Faiz
Sach hain hamiin ko aap ke shikve bajaa na thay
beshak sitam janaab ke sab dostaanaa thayy
haan jo jafaa bhii aap ne kii qaayede se kii
haan ham hii kaaraaband-e-usuul-e-wafa na thay
aaye to yuun kay jaise hameshaa ke meharabaan
bhuule to yuun ke goyaa kabhii aashnaa na thay
kyunn daad-e-gham ham ne talab kii, buraa kiyaa
ham se jahaan mein kushtaa-e-gham aur kya na thay
gar fikr-e-zaKhm kii to Khataavaar hain ke ham
kyun mahv-e-madh-e-Khoobii-e-teg-e-adaa na thay
har chaaraagar ko chaaraagarii se gureiz thaa
warnaa hamein jo dukh thay bohut laadavaa na thay
lab par hai talKhi-e-may-e-ayyaam warnaa Faiz`
ham talKhi-e-kalaam par maa'iil zarraa na thay