**Nayi tarha say nibhanay ki dil nay thaani hay**
**Wagarna uss say Mohabbat bohot puraani hay**
**Khuda wo din na dikhaaye keh main kisi say sunoon**
**Keh tu nay bhi gham-e-dunya say haar maani hay**
**Zameen pe reh ke sitaaray shikaar kertay hain**
**Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hay..!!**
**Humain aziz ho kiun.ker na sham-e-gham ke yehi**
**Bicharnay waalay , teri aakhri nishaani hay**
**Utarr paray ho to darya say poochna kaisa.?**
**Keh saahiloon say udhar kitna taiz paani hay**
**Bohot dinoo main teri yaad orrh ker utrri**
**Ye sham kitni sunehri hay kia suhaani hay.!**
**Main kitni dair ussay sochta rahoon MOHSIN**
**Keh jaisay uss ka badan bhi koi kahani hay**
{Mohsin Naqvi}..