Poet Of The Month-March- Mohsin Naqvi

Bhari bahaar main ab kay ajeeb phool khilay?
Na apnay zakham hee mehkay na dil kay chaak silay

Kahan tak koi dhoondhay musaafiron ka suraaGH
BichaRnay waalon ka kia hai, milay milay na milay?

Ajeeb qahat ka mousim tha ab kay basti maiN
Keay hain baanjh zameenoN say baarishoN nay gilay

Yeh haadisa sar e saahil rula gaya subko
Bhanwar main Doobnay waloN kay haath bhi na hilay

Sinaa kee nok kabhi shaakh e daar per Mohsin
SukhanwaroN ko milay hain mushaqqatoN kay silay

Yeh kisnay humsay lahoo ka Khiraaj phir maanga?
Abhi tu soye thay maqtal ko surKhuroo ker kay!