Poet Of The Month-March- Mohsin Naqvi

Re: Poet Of The Month-March- Mohsin Naqvi

meri soch kay thehray paani mein
teray nain kanwal jab hanstay hain
**
*meray dhiyaan kay ujlay aangan mein
*

*jab subha sitaaray chunti hai...
jab shaam koi surr bunti hai....
*

*jab andaishon ki baahon mein
teray saans ka raisham ghulta hai
jab harray kachoore khayalon mein
teray jazboan ka zarr ghulta hai
*

**mein sochta hoon in raston mein

ham kitni dair kay baad millay!!!!
**
*jab kitnay mausam beet gaye...
iss karb kathore musaafat mein
dil sadiyon chiknaa choor huwa
is hijr kay taptay sehraa mein
kia ghazlain theen jo raakh huin
kia neendain thein jo khaak huin
*

*ham kitnee dair kay baad millay
kab itnee dair kay baad millay?
*

*yeh dair bhi kia, jab aankhon kay
sab aansoo ab marjaan huay
sab aablay phoot kay toot gaye
sab zakhm huay yaqoot sifft
yeh ajar hai hijr kay mausam ka!
khud qurb ke rutt gull paash hui
*

*teray nain kanwal khud bol paray
*

*teray saat surron kay sargam ka
sab sona meray naam hua.....
*

*ab teray qurb mein sochta hoon
yeh sadiyon baad ka behlaawa!
ik khwaab sarisht saraab na ho
yeh roop sawaal na ho jaye...
yeh khwaab, khyaal na ho jaye
yeh raahat, karb anjaam na ho
*

*teray saat surron kay sargam ka
sab roop khazana sab sona
kisi aur sakhi kay naam na ho!!
*

*jab shaam dhalay youn sochta hoon
main sochta hoon kyu sochta hoon?
*

**meri soch kay thehray paani mein
teray nain kanwal jab hanstay hain