Poet Of The Month-March- Mohsin Naqvi

Nayee tarhan say nibhaaney ki dil nay thaani hai
Wagarna tujh say mohabbat bohot puraani hai

Khuda wo din na dikhayee keh mai kisi say sunon
Keh tu nay bhi gham-e-duniya say haar maani hai

Zameen ay reh kar sitaarey shikaar kartey hain
Mizaaj ahl-e-mohabbat ka asmaani hai

Humein azeez ho kyonkar na shaam-e-gham keh yehi
Bichadney waaley---teri aakhri nishaani hai

Uttar paraey ho toh darya pay poochna kaisa?
Keh saahilon say udhar--- kitna taiz paani hai

Bohot dinon mai teri yaad orh kar utri
Yeh shaam kitni seheri hai---kia suhaani hai

Main kitni der usay sochta rahun Mohsin
Keh jaisay uska badan bhi koi kahaani hai