Kabhi jo chair gaye yaad-e-raftgaa'n Mohsin
Bikhar gaye hain nigaahain kahaa' kahaan Mohsin
Hawa nay raakh urraye to dil ko yaad aaya
Kay jal bujhee'n meray khwabon ki bastiyaa'n Mohsin
Khandar hai ehd-e-guzishta na chhu na chhair isay
Khulein to band na hon is ki khirrkiyaaN Mohsin
Bujha hai kaun sitaara kay apni aankh kay saath
Huay hain saaray manaazir dhuaaN dhuaaN Mohsin
Nahi kay us nay ganwaaye hain maah-o-saal apnay
Tamaam umr kati yoon bhi raaegaaN Mohsin
Mila to aur bhi taqseem kar gaya mujh ko
Sameittna theeN jisey meri kirchiyaaN Mohsin
Kahin se us ne bhi tora hai khud say rabt-e-wafa
Kahin se bhool gaya main bhi daastaaN Mohsin