Photogenic Faces.

I heard you look like Brad's pit

:frowning: main to sari pics main kali hi ati hoon ,brightness jitni bhi hon

Tum to bas tang hi khencha karo. koi larki impress naheen karon ga to shadi kesy ho gi ?

*Yes , sanwlay rang kay loggo ka bootha ziyada acha ata hai when a picture is taken, kiyonkay light ka hisaab keetab hota hai, sanwla rang + light apis mai mix ho jaati hai, jinka rang thora sanwla ho wo roshni absorb karte haiN, newton nay is kay upar aik chapter likha tha.

aur jaha tak baat rahi bride ki, wo is liye hota hai kiyoNkay wo apna makeup kissi ghatya jagga say karwa kar ati hai, ziyada tar apna mooN atay kay drum kay andar pher kar aati haiN, is liye moon par leer-o-leer har jagga elephant ata nazar ata hai.*

Re: Photogenic Faces.

hawww Allah karay wedding forum ki antiyan yeh parh lein :dixsi:

Re: Photogenic Faces.

^ haha @ Elephant Atta! Its soo true thought, they look like ghosts!

Re: Photogenic Faces.

*^ MKD > wo khana bananay mai masroof rehti haiN, khana bananay say ziyada uski photos khenchnay maiN, khana beshaq bad-mazah ho bas photo achi kich jaye taa kay gs par upload ho sakkay.
*

yaar pehaly ye baat bataani thi .. chalo bataao kis larki ko imoress kerna hai .. I will impress her for u :p

Re: Photogenic Faces.

aap ko kaise pata keh khana acha nahin banta? :faizy:

Tum nay meri biryani per shaq kiya :smilestar:
Berry bad :snooty:

Re: Photogenic Faces.

^ desi khana aik mashraqqi larki ki tarah hota hai, usko seerat say nahi soorat say judge karna chahiye

*kiyonkay acha khaana bananay kay liye inhe abhi bohat agay jaana hai, rahat ka cooking show dekh kar geo par har koi khaansaami to nahi ban sakti na ab.

Jab hamari bajian gupshup ki 80 saal ki ho jayengi, tab jaa kar inhe patta challay ga khanay mai lazzat kaisi layi jaati hai.
*

What is wrong with my biryani ki soorat :emmy:

Aap kiu nahin gs ki aunties ko sekhatay. Itnay programmes dekh dekh kar uncle samad to pro. ho gai hongai is field main :p

lagta hai aaj do do guppies ki pitayi hogi :dixsi: niki anty TIllo uncle aur samad ko aap ikathay marna :cb:

Re: Photogenic Faces.

I need a big bailan.

*Mera kehnay ka matlab ye tha, kay soorat jaisi bhi ho baryaani ki chaal chalan aur seerat tab pata chalta hai jab chamchi ka estimaal hota hai.

Ab picture dekh kar mai pata dooN kay baryaani kitni mazay ki thi, to wohi hisaab ho ga kay main ankhoN par kaali patti baand kar shaadi kar looN , aur suhaag raat kay waqt ghungat uthai rasam par patti kholooN.

Is liye aap samajnay ki konsish karaiN, kiyoNkay aap jaisi baryaani koi bana nahi sakta , jaise halkay tail mai khud kabhi samosa kabhi tal nahi sakta.
*

Re: Photogenic Faces.

Must you be so philosphical about food?
Jao tinday khao. :snooty:

to kisi larki ki seerat ko samajhna ho to oos ki chamchiyon ko dekhna chaa’ee’yay :hmmm:

Re: Photogenic Faces.

^ chamchi ka estimaal hone ka matlab tha, kay chamchi say baryaani khayi jaye, wo wali chamchi nahi jo dulhan kay paas beth kar do din pehlay ghalt malt mashwaray deti haiN, sahelian/chamchiaaN ban kar.