Phir chalay jana

Re: Phir chalay jana

Bohat Ghaltiyaan Thin Is Urdu Editing Mein

Ab Kuch Kaabil e Qabool Halat Mein Hai Ye

Sukuut e Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chalay Jana
Ya Phir Sargoshiaan Dil Ki Suna Do Phir Chalay Jana

Mera Aur Tumhara Waqt Guzra Hasnay Ronay Mein
Isay Puri Tarah Se Tum Bhula Do Phir Chalay Jana

Ye Saaray Pair Poday Tum Bin Kai Raat Jaagay Hain
Tum Aa Ke Aik Baar Inko Sula Do Phir Chalay Jana

Kisi Ko Chahnay Aur Kisi Se Chahay Janay Ka
Jo Hai Ehsaas, Tum Isko Bhula Do Phir Chalay Jana

Bas Ik Murda Hansi Se Apnay Ashq Ko Chupanay Ka
Jo Fan Aata Hai Tumko,Woh Sikha Do Phir Chalay Jana

Mere In Roz o Shab Ka Ik Faqat Unwaan Bas Tum Ho
Mujhe Tum Dossra Unwaan La Do Phir Chalay Jana

Pyaar Ki Koshish Ay Khuda, Na Jaaye Rayegaan
Mujhe Iss Sabar Ka Kuch Phal Dila Do Phir Chalay Jana