Tumhain Main Bhool Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta Hamiasha Muskuraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tumhari Her Nishaani Ko Main Deriyaa Burd Ker Doon Ga Tumharay Khat Julloon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tumhara Zikar Mehfil Main Huwa To, Khamosh Rehna Hai Main Khud Ko Aazmaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Tujhay Wapis Bullana Hai, Nah Daini Hai Sadaa Koee Main Yoon Dil Ko Manaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Yeh Teh Huwa Humdum, Hijr Kay Geet Koee Bhi Kabhi Nah Gungunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Tum Say Yeh Waada Hai, Keh Dil Main Dard Hain Jitnay Kissi Ko Nah Sunaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Sitaro Neend Kay Maro, Challo Khawboun Ki Dunia Main Main Bhi So Hee Jaoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta
Challo Yeh Tumm Say Waada Hai, Koee Bhi Qeemti Mouti Nah Aankhoon Say Giraoon Ga, Magger Waada Nahi Kerta:(
v nice :)