Re: Perhaps one more gone. Now Nabil Gabol.
**bahot Khoob qibla. achchhii shaa’irii hai. mujhe 'allaamah kii nazam “jawaab-e-shakwah” se chand ek band yaad aa gayaa, Allah unheN karvaT karvaT jannat naseeb kare…aameen…farmaayaa k:
munfa’it ek hai is qaum kii, nuqsaan bhii ek
ek hii sab kaa nabii, deen bhii, iimaan bhii ek
Haram-e-Paak bhii, Allah bhii, Qur’aan bhii ek
kuchh baRii baat thii hote jo musalmaan bhii ek
firqa_bandii hai kahiiN, aur kahiiN zaateN haiN
kia zamaane meN panapne kii yehii baateN haiN?
tum ho aapas meN Ghazab_naak, vo aapas men raHeem
tum Khataa_kaar o Khataa beeN, vo Khata_posh o kareem
chaahte sab haiN k hoN auj-e-suraiyaa pe muqeem
pahle vaisaa koii paidaa to kare qalb-e-saleem
taKht-e-faGhfoor bhii unkaa thaa, sareer-e-kai bhii
yuN hii baateN haiN, k tum meN vo Hamiiyat hai bhii?
bas ab to:
'aql hai sipar terii, 'ishq hai shamsheer terii
mere darvaish! Khilaafat hai jahaNgiir terii
maa_sivaa Allah ke aag hai takbeer terii
tu musalmaaN ho to taqdeer hai tadbeer terii
kii MoHammad [saws] se vaafaa tu ne, to Ham tere haiN
yeh jahaaN cheez hai kia, lauH o qalam tere haiN!
bas lets pray that Pakistan’s situation is rectified soon…aamaan!**