Destinee: Subha subha uthta hoon, uthatay he sheesha dekhta hoon…zor se ‘mashallah!’ kehta hoon aur kehta hoon ke dunya se husn abhi khatam nahin hua *hansi zabt karne wala icon |:rotfl:| aur phir ‘tayyari’ main lag jaata hoon. tum ko kyon jalan ho rahi hai? :nahnah:
**irem:**Aish…hmm…acha, chalo aap kehti ho to theek he kehti ho gi…hum ko kia pata! :halo: Thanks for dropping by (paying u back in yer own sikka) :-p
shoaib mian: Set…hmm, yeh to main aam tor par kisi aur moqay par istemal karta hoon! kher shukriya
As if Moonstar, Khanu agar larki hoti to aap ko pasand kar laiti. Khushfehmiyaan LArkay bhi bus. You should better concentrate on one. I know bari mantoon, muradoon kay baad koi mila hai.
**lost soul:**beta jee..yeh subha subha nahin hai..abhi is ke baad mujh ko teen ghantay sona bhi tha! kaam ki ziadti hai yar…Allah reham karey
nia khan: is main interesting ki kia baat hai? lolz @ zulfain sanwarna…bhai abhi to sar par ginti ke chaar baal hoon gae par kia pata..kabhi life main zaroorat par he jae…mujh ko ya phir…mujh ko hi!
Gadha: na ro mere bache.. gadhay ko puchkaarne wala icon tu bas Daddu Airways ka ticket kata aur naal thallay he aa ja…public ki to baja dain gae yar…bas tu aa to ja
Moonstar: Tum aainda 3 maheenay mere qareeb na aana..ganda thoo!
sandleen: thanks…waisay aap ko shaq kyon hai bhai?
Faisal: cheeta print ke curtains lagwa loon kia?
losty: Hehehe…kyon tum public main logon ke pole khol rahi ho yar?
**Seema:**Bhai jaan! o yar yeh asal main mera general calling tag hai for all bhai loug in this forum…lagge samajh?
Oho…to aap ko bhi aane wali ki fikar hai..well fikar not…phir to us se kamre ki safaai karwa karwa kar kamra aur chamka doon ga! jee nahin main chut se latak kar nahin sota..aisa ho ga to hum gir jaein gae na!
Schahzad: Really?
paki-angel: Aw…thank you…so seem honest in yer praise..appreciate that pal
moonstar: Beta jee…apni harkatein theek kar lo..warna bhabi se sar par itni jootian parwaoon ga ke sar par poori cricket field ban jaegi…tu duur se logon ko Ben Johnson nazar aae ga…Takloo!
sandleen: Aa gaya..aa gaya… yaqeen aa gaya uchal uchal kar haath hilane wala icon ab to aap ne do dafa likh kar pakka saboot de dia hai!
Thanks everybody you are a good bunch..inshallah is weekend par apne kamre ke baaqi konon ki bhi tifeelain dikha doon ga.