Pakistan is a second home for Indians

Re: Pakistan is a second home for Indians

salaam

aejaaz miyaan,

zamana-e-qadeem ke fars aur haaliya mumlikat-e-iran mein kaafi fark hai.

puraaney zamaaney ki saltanat-e-fars ki sarhadon mein afghanistan, aur aadha pakistan (maghrebi hissa) shaamil the.

mere farsi honay ka yeh matlab nahein ke mera aaj ki saltanat-e-iran se koi ta’aluq ho, farsi loag pakistan, afghanistan aur tajikistan mein bhi paaey jaatey hain, sirf iran mein nahein, iran mein aur bhi bahot saari aqwaam hain maslan balochi, kurd aur arbi waghera.

wesay hamein in cheezon se kuch khaas lagaow nahein hai, ham apne pakistani honay ko inn sab pe tarjeeh detay hain.

sapurd-e-maula :wave: