Re: Only Nazams
Daairay*
zakhm bhar jaatay hain zehnon se utar jaatay hain din guzarta hai to phir shab bhi guzar jaati hai phool jis shaakh se jhard jaatay hain mer jaatay hain
chund hi roz mein uss shaakh pe aainda k phoolon k nageenay se ubhar aatay hain!
teray jaanay se meri zaat k andar jo khalaa goonjta hai ik na ik din usay bhar jaana hai ik na ik roz tujhe meri phaili hui, tarsi hui baanhon mein palat aana hai!
(Ahmed Nadeem Qasmi)
veryyy nice 1 :)